afsaana chaahte the wo afsaana ban gaya
— Abdul Hamid Adam
Afsaana chaahte the wo afsaana ban gaya
Main husn-e-ittifaaq se deevaana ban gaya
Wo ik nigaah dekh ke khud bhee hain sharmsaar
Naa-aagahee men yoonhee ik afsaana ban gaya
Mauj-e-havaa se zulf jo lahraa ga.ee tiree
Meraa shu.oor laghzish-e-mastaana ban gaya
Husn ek ikhtiyaar-e-mukammal hai aap ne
Deevaana kar diyaa jise deevaana ban gaya
Zikr us kaa guftugoo men jo shaamil huaa 'adam'
Jo sher kah diyaa wo paree-khaana ban gaya