bahut se logon ko gam ne jilaa ke maar diyaa
— Abdul Hamid Adam
Bahut se logon ko gham ne jilaa ke maar diyaa
Jo bach rahe the unhen mai pilaa ke maar diyaa
Ye kya adaa hai ki jab un kee barhamee se ham
Na mar sake to hamen muskuraa ke maar diyaa
Na jaate aap to aaghosh kyuun tahee hotee
Ga.e to aap ne pahloo se jaa ke maar diyaa
Mujhe gila to nahin aap ke taghaaful se
Magar huzoor ne himmat baDhaa ke maar diyaa
Na aap aas bandhaate na ye sitam hota
Hamen to aap ne amrit pilaa ke maar diyaa
Kisee ne husn-e-taghaaful se jaan talab kar lee
Kisee ne lutf ke Dariya bahaa ke maar diyaa
Jise bhee main ne ziyaada tapaak se dekhaa
Usee haseen ne patthar uThaa ke maar diyaa
Wo log maangenge ab ziist kis ke aanchal se?
Jinhen huzoor ne daaman chhuDaa ke maar diyaa
Chale to khanda-mizaajee se jaa rahe the ham
Kisee haseen ne raste men aa ke maar diyaa
Rah-e-hayaat men Kuch aise pech-o-kham to na the
Kisee haseen ne raste men aa ke maar diyaa
Karam kee soorat-e-avval to jaan-gudaaz na thee
Karam kaa doosraa pahloo dikhaa ke maar diyaa
Ajiib ras-bharaa rahzan thaa jis ne logon ko
Tarah tarah kee adaa.en dikhaa ke maar diyaa
Ajiib khulq se ik ajnabee musaafir ne
Hamen khilaaf-e-tavaqqo.a bulaa ke maar diyaa
'adam' baDe adab-aadaab se haseenon ne
Hamen sitam kaa nishaana banaa ke maar diyaa
Ta.ayyunaat kee had tak to jee raha thaa 'adam'
Ta.ayyunaat ke parde uThaa ke maar diyaa