bas is qadar hai khulaasa mirii kahaanii kaa
— Abdul Hamid Adam
Bas is qadar hai khulaasa miree kahaanee kaa
Ki ban ke Toot gaya ik habaab paanee kaa
Milaa hai saaqee to raushan huaa hai ye mujh par
Ki hazf thaa koi TukDaa miree kahaanee kaa
Mujhe bhee chehre pe raunaq dikhaa.ee detee hai
Ye mo.ajiza hai tabeebon kee khush-bayaanee kaa
Hai dil men ek hee khwaish wo Doob jaane kee
Koi shabaab koi husn hai ravaanee kaa
Libaas-e-hashr men Kuch ho to aur kya hogaa
Bujhaa saa ek chhanaakaa tiree javaanee kaa
Karam ke rang nihaayat ajiib hote hain
Sitam bhee ek tareeqa hai mehrbaanee kaa
'adam' bahaar ke mausam ne khud-kushee kar lee
Khulaa jo rang kisee jism-e-arghavaanee kaa