chhedo to us hasiin ko chhedo jo yaar ho
— Abdul Hamid Adam
ChheDo to us haseen ko chheDo jo yaar ho
Aisi khataa karo jo adab men shumaar ho
BaiThee hai tohmaton men wafa yuun ghiree huee
Jaise kisee haseen kee gardan men baar ho
Din raat mujh pe karte ho kitne haseen zulm
Bilkul miree pasand ke mukhtaar-e-kaar ho
Kitne uruuj par bhee ho mausam bahaar kaa
Hai phuul sirf wo jo sar-e-zulf-e-yaar ho
Ik sachchaa pyaar hee nahin bas yaar ai 'adam'
Jaan vaar do agar koi jhooTaa bhee yaar ho