dil ko dil se kaam rahegaa

Abdul Hamid Adam

Dil ko dil se kaam rahegaa Donon taraf aaraam rahegaa Sub.h kaa taaraa poochh raha hai Kab tak daur-e-jaam rahegaa Badnaamee se kyuun Darte ho Baaqee kis kaa naam rahegaa Zulf-e-pareshaan hee achchhee hai Aalam zer-e-daam rahegaa Muftee se jhagDaa na 'adam' kar Us se aksar kaam rahegaa