girte hain log garmii e baazaar dekh kar

Abdul Hamid Adam

Girte hain log garmee-e-baazaar dekh kar Sarkaar dekh kar miree sarkaar dekh kar Aavaargee kaa shauq bhaDaktaa hai aur bhee Teree galee kaa saaya-e-deevaar dekh kar Taskeen-e-dil kee ek hee tadbeer hai faqat Sar phoD leejiye koi deevaar dekh kar Ham bhee ga.e hain hosh se saaqee kabhi kabhi Lekin tiree nigaah ke atvaar dekh kar Kya mustaqil ilaaj kiyaa dil ke dard kaa Wo muskuraa diye mujhe beemaar dekh kar Dekhaa kisee kee samt to kya ho gaya 'adam' Chalte hain raah-rau sar-e-baazaar dekh kar