halkaa halkaa suruur hai saaqii
— Abdul Hamid Adam
Halkaa halkaa suroor hai saaqee
Baat koi zaroor hai saaqee
Teree aankhon ko kar diyaa sajda
Meraa pahlaa qusoor hai saaqee
Tere rukh par hai ye pareshaanee
Ik andhere men nuur hai saaqee
Teree aankhen kisee ko kya dengee
Apna apna suroor hai saaqee
Piine vaalon ko bhee nahin ma.aloom
Mai-kada kitnee duur hai saaqee