ham ne hasraton ke daag aansuon se dho liye

Abdul Hamid Adam

Ham ne hasraton ke daagh aansuon se dho liye Aap kee khushee huzoor boliye na boliye Kya haseen khaar the jo miree nigaah ne Saadgee se baarhaa ruuh men chubho liye Mausam-e-bahaar hai ambareen khumaar hai Kis kaa intizaar hai gesuon ko kholiye Zindagee kaa raasta kaaTnaa to thaa 'adam' Jaag uTh to chal diye thak ga.e to so liye