hans hans ke jaam jaam ko chhalkaa ke pii gaya
— Abdul Hamid Adam
Hans hans ke jaam jaam ko chhalkaa ke pee gaya
Wo khud pilaa rahe the main lahraa ke pee gaya
Tauba ke TooTne kaa bhee kuch kuch malaal tha
Tham tham ke soch soch ke sharmaa ke pee gaya
Saaghar-ba-dast baiThee rahi meree aarzoo
Saaqee shafaq se jaam ko Takraa ke pee gaya
Wo dushmanon ke tanz ko Thukraa ke pee ga.e
Main doston ke ghaiz ko bhaDkaa ke pee gaya
Sad.haa mutaalibaat ke ba.ad ek jaam-e-talkh
Dunya-e-jabr-o-sabr ko dhaDkaa ke pee gaya
Sau baar laghzishon kee qasam khaa ke chhoD dee
Sau baar chhoDne kee qasam khaa ke pee gaya
Piitaa kahaan tha sub.h-e-azal main bhalaa 'adam'
Saaqee ke aitbaar pe lahraa ke pee gaya