havaa sanke khaaron ki badii takliif hotii hai
— Abdul Hamid Adam
Havaa sanke to khaaron ko baDee takleef hotee hai
Mire gham kee bahaaron ko baDee takleef hotee hai
Na chheD ai ham-nasheen ab ziist ke maayoos naghmon ko
Ki ab barbat ke taaron ko baDee takleef hotee hai
Mujhe ai kasrat-e-aalaam bas itnee shikaayat hai
Ki mere gham-gusaaron ko baDee takleef hotee hai
Kaho maujon se lahraa kar na yuun palTen samundar se
Ki baa-ghairat kinaaron ko baDee takleef hotee hai
Gale milte hain jab aapas men do bichhDe hue saathee
'adam' ham be-sahaaron ko baDee takleef hotee hai