kashtii chalaa raha hai magar kis adaa ke saath
— Abdul Hamid Adam
Kashtee chalaa raha hai magar kis adaa ke saath
Ham bhee na Doob jaa.en kaheen naa-khuda ke saath
Dil kee talab paDee hai to aayaa hai yaad ab
Wo to chalaa gaya tha kisee dilrubaa ke saath
Jab se chalee hai aadam o yazdaan kee daastaan
Har baa-wafa kaa rabt hai ik bevafaa ke saath
Mehmaan mezbaan hee ko bahkaa ke le uDaa
Khushboo-e-gul bhee ghuum rahi hai sabaa ke saath
Peer-e-mughaan se ham ko koi bair to nahin
ThoDaa saa ikhtilaaf hai mard-e-khuda ke saath
Shaikh aur bahisht kitne ta.ajjub kee baat hai
Yaa-rab ye zulm khuld kee aab-o-havaa ke saath
PaDhtaa namaaz main bhee hoon par ittifaaq se
UThtaa hoon nisf raat ko dil kee sadaa ke saath
Mahshar kaa khair kuch bhee nateeja ho ai 'adam'
Kuch guftugoo to khul ke karenge khuda ke saath