kya baat hai ai jaan e sukhan baat kiye jaa
— Abdul Hamid Adam
Kya baat hai ai jaan-e-sukhan baat kiye jaa
Maahaul pe naghmaat kee barsaat kiye jaa
Dunya kee nigaahon men baDee hirs bharee hai
Naa-ahl zamaane se hijaabaat kiye jaa
Nekee kaa iraada hai to phir poochhnaa kaisaa
Din raat faqeeron kee mudaaraat kiye jaa
Chalte rahen mad.hosh piyaalon kee ravish par
Naadaan sitaaron ko hidaayaat kiye jaa
Allaah tiraa husn kare aur ziyaada
Ham raah-nasheenon se mulaaqaat kiye jaa
Ban aa.e javaabaat to mil jaa.enge khud hee
Ai daavar-e-mahshar too savaalaat kiye jaa
Hastee o adam kya hain ba-juz jumbish-e-abroo
Ai jaan-e-kinaayaat ishaaraat kiye jaa
Kahtaa hai 'adam' mujh ko har ik gosha-e-hastee
Aayaa hai to Kuch sair-e-kharaabaat kiye jaa