matlab muaamalaat kaa Kuch paa gaya hoon main
— Abdul Hamid Adam
Matlab muaamalaat kaa Kuch paa gaya hoon main
Hans kar fareb-e-chashm-e-karam khaa gaya hoon main
Bas intihaa hai chhoDiye bas rehne deejiye
Khud apne e'timaad se sharmaa gaya hoon main
Saaqee zaraa nigaah milaa kar to dekhnaa
Kambakht hosh men to naheen aa gaya hoon main
Shaayad mujhe nikaal ke pachhtaa rahe hon aap
Mahfil men is khayaal se phir aa gaya hoon main
Kya ab hisaab bhee too miraa legaa hashr men
Kya ye itaab kam hai yahaan aa gaya hoon main
Main ishq hoon miraa bhalaa kya kaam daar se
Wo shar.a thee jise vahaan laTkaa gaya hoon main
Niklaa thaa mai-kade se ki ab ghar chaloon 'adam'
Ghabraa ke soo-e-mai-kada phir aa gaya hoon main