mushkil ye aa padii hai ki gardish men jaam hai

Abdul Hamid Adam

Mushkil ye aa paDee hai ki gardish men jaam hai Ai hosh varna mujh ko tiraa ehtiraam hai Fursat kaa vaqt DhoonDh ke milnaa kabhee ajal Tujh ko bhee kaam hai abhee mujh ko bhee kaam hai Aatee bahut qareeb se khushboo hai yaar kee Jaaree idhar udhar hee kaheen daur-e-jaam hai Kuch zahr ko taraste hain Kuch mai men gharq hain Saaqee ye teree bazm kaa kya intizaam hai Mai aur haraam? hazrat-e-zaahid khuda kaa khauf Wo to kahaa gaya thaa ki mastee haraam hai Ai zulf-e-ambareen zaraa lahraa ke phailnaa Ik raat is chaman men miraa bhee qayaam hai Ai zindagee too aap hee chupke se dekh le Jaam-e-adam pe likkhaa huaa kis kaa naam hai