muskuraa kar khitaab karte ho

Abdul Hamid Adam

Muskuraa kar khitaab karte ho Aadaten kyuun kharaab karte ho Maar do mujh ko rahm-dil ho kar Kya ye kaar-e-savaab karte ho Muflisee aur kis ko kahte hain! Daulaton kaa hisaab karte ho Sirf ik iltijaa hai chhoTee see Kya use baaryaab karte ho Ham to tum ko pasand kar baiThe Tum kise intikhaab karte ho Khaar kee nok ko lahoo de kar Intizaar-e-gulaab karte ho Ye na.ee ehtiyaat dekhee hai Aa.ine se hijaab karte ho Kya zaroorat hai bahs karne kee Kyuun kaleja kabaab karte ho Ho chukaa jo hisaab honaa thaa Aur ab kya hisaab karte ho Ek din ai 'adam' na pee to kya Roz shaghl-e-sharaab karte ho Kitne be-rahm ho 'adam' tum bhee Zikr-e-ahd-e-shabaab karte ho Ho kisee kee khushee gar is men 'adam' Jurm kaa irtikaab karte ho