sitaaron ke aage jo aabaadiyaan hain

Abdul Hamid Adam

Sitaaron ke aage jo aabaadiyaan hain Tiree zulf kee gum-shuda vaadiyaan hain Zamaana bhee kya raunaqon kee jagah hai Kaheen ronaa-dhonaa kaheen shaadiyaan hain Tiree kaakulen hee naheen sabz pariyaan Miree aarzooen bhee shahzaadiyaan hain BaDee shai hai vaabastagee do dilon kee Ye paabandiyaan hee to aazaadiyaan hain Jahaan qadr hai Kuch na Kuch aadmee kee Wo kya qaabil-e-qadr aabaadiyaan hain Yakaayak na dil phenknaa aankh vaalo Ye sab aankh kee fitna-eejaadiyaan hain Ghareebon se kya kaam aasaa.ishon kaa Wo oonche gharaanon kee shahzaadiyaan hain 'adam' sooraton kee chamak par na jaanaa Ye sab aankh kee fitna-eejaadiyaan hain Jahaan bhee 'adam' koee dilbar makeen hai Vahaan kitnee gunjaan aabaadiyaan hain