zabaan par aap kaa naam aa raha thaa
— Abdul Hamid Adam
Zabaan par aap kaa naam aa raha thaa
Gham-e-hastee ko aaraam aa raha thaa
Khuda kaa shukr teree zulf bikhree
BaDee garmee kaa hangaam aa raha thaa
Sitaare so ga.e Angdhaai le kar
Ki afsaane kaa anjaam aa raha thaa
TaDap kar main ne tauba toD Daalee
Tiree rahmat pe ilzaam aa raha thaa
'adam' dil kho ke aasooda naheen ham
Buraa thaa yaa bhalaa kaam aa raha thaa