zulf e barham sambhaal kar chaliye

Abdul Hamid Adam

Zulf-e-barham sambhaal kar chaliye Raasta dekh-bhaal kar chaliye Mausam-e-gul hai apnee baanhon ko Meree baanhon men Daal kar chaliye Mai-kade men na baiThiye taaham Kuch tabee.at bahaal kar chaliye Kuch na denge to kya ziyaan hogaa Harj kya hai savaal kar chaliye Hai agar qatl-e-aam kee niyyat Jism kee chhab nikaal kar chaliye Kisee naazuk-badan se Takraa kar Koi kasb-e-kamaal kar chaliye Yaa dupaTTa na leejiye sar par Yaa dupaTTa sambhaal kar chaliye Yaar dozakh men hain muqeem 'adam' Khuld se intiqaal kar chaliye