dil apnaa jalaayaa hai kisii ne bhii khushii se
— Ada Jafarey
Dil apnaa jalaayaa hai kisee ne bhee khushee se
Ban jaatee hai jee par to guzar jaate hain jee se
JhooTon kabhee poochhaa hai to vahm aa.e hain kyaa kyaa
Maanoos hain itne tiree begaana-ravee se
Rasta jise mil jaa.e ye taufeeq hai us kee
PalTaa naheen ab tak hai koee teree galee se
Khushboo ne bahaaraan kee sunee chaap kisee ne
Maayoos na honaa miree aahista-ravee se
Ban ban ke bigaDte rahe ummeed ke paikar
Aazar the magar kaam rahaa but-shikanee se
Andesha bas itnaa hee rahaa dasht-e-talab men
Bhar aa.e kaheen aankh 'adaa' tishna-labee se