naqsh bar aab saal haa saal mohabbat jo banaa kartii hai
— Ada Jafarey
Saal-haa-saal mohabbat jo banaa kartee hai
Rishta-e-qalb-o-nazar palla-e-resham kee tarah
Ek jhonkaa bhee havaadis kaa use kaafee hai
Pahlu-e-gul men dhaDaktee huee shabnam kee tarah
Ye mohabbat ke banaa.e hue aivaan-e-buland
Ek Thokar bhee zamaane kee nahin sah sakte
Aabgeene ye bahut naazuk-o-naa-rustaa hain
Mauj kee god men taa-der nahin rah sakte
Garm-raftaar subuk-sair ke rahvaar-e-hayaat
Aarzooon ke gharaunde ko ye Dah de na kaheen
Talkh-tar jaam ke haathon men nizaam-e-nau ke
Khvaab kee halaavat ko de na kaheen
Ishq ke haath men raushan hai jo nanhaa saa diyaa
Aql kee tund havaa us ko bujhaa hee degee
Too ne dekhee hee nahin panja-e-usrat kee giraft
Ruuh ko qaid-e-tamannaa se chhuDaa hee degee
Gal hee jaa.egee kisee roz junoon kee zanjeer
Vaqt har khvaab kee ta.abeer bataa deta hai
KarvaTen letaa hai ehsaas jo bedaaree kaa
Loriyaan de ke umangon ko sulaa deta hai
Naqsh-bar-aab hai vaabastagee-e-husn-o-shabaab
Nik.hat-e-gul kee tarah ishq hai paaband-e-havaa
Is se behtar tha ki mujh se tujhe nafrat hotee
Phuul murjhaate hain kaanTaa nahin murjhaa saktaa
Tiir nafrat kaa raha kartaa hai dil men paivast
Sham.a ye teergee-e-gham men bhee taabinda rahe
Dast-e-nafrat kee banaa.ee huee deevaar-e-adaa
Sang-o-aahan kee tarah pukhta-o-pa.inda rahe
Azm ho jaa.enge afsurda iraade maflooj
Gosh lazzat-kash-e-gulbaang-e-jalaajil kyuun ho
Manzilen aur bhee kitnee hain mohabbat ke sivaa
Rooh-e-aazaad giraftaar-e-salaasil kyuun ho
Sal-ha-sal mohabbat jo bana karti hai
Rishta-e-qalb-o-nazar palla-e-resham ki tarah
Ek jhonka bhi hawadis ka use kafi hai
Pahlu-e-gul mein dhaDakti hui shabnam ki tarah
Ye mohabbat ke banae hue aiwan-e-buland
Ek Thokar bhi zamane ki nahin sah sakte
Aabgine ye bahut nazuk-o-na-rusta hain
Mauj ki god mein ta-der nahin rah sakte
Garm-raftar subuk-sair ke rahwar-e-hayat
Aarzuon ke gharaunde ko ye Dah de na kahin
TalKH-tar jam ke hathon mein nizam-e-nau ke
KHwab ki halawat ko de na kahin
Ishq ke hath mein raushan hai jo nanha sa diya
Aql ki tund hawa us ko bujha hi degi
Tu ne dekhi hi nahin panja-e-usrat ki giraft
Ruh ko qaid-e-tamanna se chhuDa hi degi
Gal hi jaegi kisi roz junun ki zanjir
Waqt har KHwab ki tabir bata deta hai
KarwaTen leta hai ehsas jo bedari ka
Loriyan de ke umangon ko sula deta hai
Naqsh-bar-ab hai wabastagi-e-husn-o-shabab
Nikhat-e-gul ki tarah ishq hai paband-e-hawa
Is se behtar tha ki mujh se tujhe nafrat hoti
Phul murjhate hain kanTa nahin murjha sakta
Tir nafrat ka raha karta hai dil mein paiwast
Shama ye tirgi-e-gham mein bhi tabinda rahe
Dast-e-nafrat ki banai hui diwar-e-ada
Sang-o-ahan ki tarah puKHta-o-painda rahe
Azm ho jaenge afsurda irade mafluj
Gosh lazzat-kash-e-gulbang-e-jalajil kyun ho
Manzilen aur bhi kitni hain mohabbat ke siwa
Ruh-e-azad giraftar-e-salasil kyun ho