taufiiq se kab koii sarokaar chale hai
— Ada Jafarey
Taufeeq se kab koee sarokaar chale hai
Duniyaa men faqat taala-e-bedaar chale hai
Thahroon to chaTaanon see kaleje pe khaDee hai
Jaa.oon to mire saath hee deevaar chale hai
Har ghuncha baDe chaav se khiltaa hai chaman men
Har daur kaa mansoor sar-e-daar chale hai
Rangon kee na khushboo kee kamee hai dil-o-jaan ko
Tosha jo chale saath vo ik khaar chale hai
Dil ke liye bas aankh kaa me.aar bahut hai
Jo sikka-e-jaan hai sar-e-baazaar chale hai
Hairat se shagoofon kee jhapaktee naheen aankhen
Kis aan se kaanTon kaa khareedaar chale hai
Khursheed vahaan ham ne sulagte hue dekhe
Kirnon kaa jis aashob men bevpaar chale hai
Ik jumbish-e-mizhgaan kee ijaazat bhee naheen hai
Dil saath chalaa hai ki sitamgaar chale hai
The khizr bhee laakhon yahaan iisaa bhee bahut the
Aazaar jo dil kaa hai so aazaar chale hai