ye bastiyaan viiraan nahin nahin ye bastiyaan viiraan nahin
— Ada Jafarey
Nahin ye bastiyaan veeraan nahin
Ab bhee yahaan Kuch log rahte hain
Ye wo hain jo kabhi
Zakhm-e-wafa baazaar tak aane nahin dete
Yahaan Kuch khvaab hain
Jo saans lete hain
Javaan khawabon ko tum dekho to Dar jaao
Falak aasaar baam-o-dar
Yahaan vaq.at nahin rakhte
Kulaah-o-zar yahaan qeemat nahin rakhte
Ye kitne log hain
Be-naam hain be-laag hain
Be-saakhta jiine ke taalib hain
Ye dil ke bojh kaa ahvaal
Apne harf khud likhne ke taalib hain
Ujaale kee sakhee kirnon ko
Zindaan se rihaa.ee do
Nahin ye bastiyan viran nahin
Ab bhi yahan Kuch log rahte hain
Ye wo hain jo kabhi
ZaKHm-e-wafa bazar tak aane nahin dete
Yahan Kuch KHwab hain
Jo sans lete hain
Jawan KHwabon ko tum dekho to Dar jao
Falak aasar baam-o-dar
Yahan waqat nahin rakhte
Kulah-o-zar yahan qimat nahin rakhte
Ye kitne log hain
Be-nam hain be-lag hain
Be-saKHta jine ke talib hain
Ye dil ke bojh ka ahwal
Apne harf KHud likhne ke talib hain
Ujale ki saKHi kirnon ko
Zindan se rihai do