aankhon men aansuon ko ubharne nahiin diyaa
— Adeem Hashmi
Aankhon men aansuon ko ubharne naheen diyaa
MiTTee men motiyon ko bikharne naheen diyaa
Jis raah par paDe the tire paanv ke nishaan
Is raah se kisee ko guzarne naheen diyaa
Chaahaa to chaahaton kee hadon se guzar ga.e
Nashsha mohabbaton kaa utarne naheen diyaa
Har baar hai nayaa tire milne kaa zaa.iqa
Aisaa samar kisee bhee shajar ne naheen diyaa
Ye hijr hai to is kaa faqat vasl hai ilaaj
Ham ne ye zakhm-e-vaqt ko bharne naheen diyaa
Itne baDe jahaan men jaa.egaa too kahaan
Is ik khayaal ne mujhe marne naheen diyaa
Saahil dikhaa.ee de to rahaa thaa bahut qareeb
Kashtee ko raasta hee bhanvar ne naheen diyaa
Jitnaa sakoon milaa hai tire saath raah men
Itnaa sukoon to mujhe ghar ne naheen diyaa
Is ne hansee hansee men mohabbat kee baat kee
Main ne 'adeem' us ko mukarne naheen diyaa