badaa viiraan mausam hai kabhii milne chale aao
— Adeem Hashmi
BaDaa veeraan mausam hai kabhee milne chale aao
Har ik jaanib tiraa gham hai kabhee milne chale aao
Hamaaraa dil kisee gahree judaa.ee ke bhanvar men hai
Hamaaree aankh bhee nam hai kabhee milne chale aao
Mire hamraah garche duur tak logon kee raunaq hai
Magar jaise koee kam hai kabhee milne chale aao
Tumhen to ilm hai mere dil-e-vahshee ke zakhmon ko
Tumhaaraa vasl marham hai kabhee milne chale aao
Andheree raat kee gahree khamoshee aur tanhaa dil
Diye kee lau bhee maddham hai kabhee milne chale aao
Tumhaare ruuTh ke jaane se ham ko aisaa lagtaa hai
Muqaddar ham se barham hai kabhee milne chale aao
Havaaon aur phoolon kee na.ee khushboo bataatee hai
Tire aane kaa mausam hai kabhee milne chale aao