chal diyaa vo dekh kar pahluu mirii taqsiir kaa

Adeem Hashmi

Chal diyaa vo dekh kar pahloo miree taqseer kaa Doosraa rukh us ne dekhaa hee naheen tasveer kaa Baaqee saare khat pe dhabbe aansuon ke rah ga.e Ek hee jumla paDhaa main ne tiree tahreer kaa Too ne kaise lafz honTon kee kamaan men kas liye Itnaa gahraa ghaav to hotaa naheen hai tiir kaa Uzr baaqee chaal men hai qaid go baaqee naheen Paanv aadee ho gayaa hai is qadar zanjeer kaa Aa ga.ee kashtee bhaTak kar aab se soo-e-saraab Bhar gayaa reg-e-ravaan se jaal maahee-geer kaa Baat chhoTee to naheen tujh se bichhaDne kee hai baat Faisla tasleem kar luun kis tarah taqdeer kaa Yaar logon ne use katba banaa Daalaa 'adeem' Aakhiree patthar bachaa jo umr kee ta.ameer kaa Doston se bhee ta.alluq ban gayaa hai vo 'adeem' Jo ta.alluq hai kisee shamsheer se shamsheer kaa Zahr kee aankhon men raushan sooraten do hain 'adeem' Shakl ik suqraat kee aur ek chehra hiir kaa