ham bahr e haal dil o jaan se tumhaare hote
— Adeem Hashmi
Ham bahar haal dil o jaan se tumhaare hote
Tum bhee ik-aadh ghaDee kaash hamaare hote
Aks paanee men mohabbat ke utaare hote
Ham jo baiThe hue dariyaa ke kinaare hote
Jo mah o saal guzaare hain bichhaD kar ham ne
Vo mah o saal agar saath guzaare hote
Kyaa abhee biich men deevaar koee baaqee hai
Kaun saa gham hai bhalaa tum ko hamaare hote
Aap to aap hain khaaliq bhee hamaaraa hotaa
Ham zaroorat men kisee ko na pukaare hote
Saath ahbaab ke haasid bhee zarooree hain 'adeem'
Ham sukhan apnaa sunaate jahaan saare hote