koii patthar koii guhar kyuun hai

Adeem Hashmi

Koee patthar koee guhar kyuun hai Farq logon men is qadar kyuun hai Too milaa hai to ye khayaal aayaa Zindagee itnee mukhtasar kyuun hai Jab tujhe lauT kar naheen aanaa Muntazir meree chashm-e-tar kyuun hai Us kee aankhen kaheen sadaf to naheen Us kaa har ashk hee guhar kyuun hai Raat pahle hee kyuun naheen Dhaltee Teergee shab kee taa-sahar kyuun hai Ye bhee kaisaa azaab de Daalaa Hai mohabbat to is qadar kyuun hai Too naheen hai to roz-o-shab kaise Shaam kyuun aa ga.ee sahar kyuun hai Kyuun ravaana hai har ghaDee duniyaa Zindagee mustaqil safar kyuun hai Main to ik mustaqil musaafir huun Too bhalaa meraa ham-safar kyuun hai Tujhe milnaa naheen kisee se 'adeem' Phir bichhaDne kaa tujh ko Dar kyuun hai