shaamil thaa ye sitam bhii kisii ke nisaab men
— Adeem Hashmi
Shaamil thaa ye sitam bhee kisee ke nisaab men
Titlee milee hanoot puraanee kitaab men
Dekhoongaa kis tarah se kisee ko azaab men
Sab ke gunaah Daal de mere hisaab men
Phir bevafaa ko bahr-e-mohabbat samajh liyaa
Phir dil kee naav Duub ga.ee hai saraab men
Pahle gulaab us men dikhaa.ee diyaa mujhe
Ab vo mujhe dikhaa.ee diyaa hai gulaab men
Vo rang-e-aatsheen vo dahaktaa huaa shabaab
Chehre ne jaise aag lagaa dee naqaab men
Baarish ne apnaa aks kaheen dekhnaa na ho
Kyuun aa.ine ubharne lage hain habaab men
Gardish kee teziyon ne use nuur kar diyaa
MiTTee chamak rahee hai yahee aaftaab men
Us sang-dil ko main ne pukaaraa to thaa 'adeem'
Apnee sadaa hee lauT kar aa.ee javaab men