taalluq apnii jagah tujh se barqaraar bhii hai
— Adeem Hashmi
Ta.alluq apnee jagah tujh se barqaraar bhee hai
Magar ye kyaa ki tire qurb se faraar bhee hai
Kured aur zameen mausamon ke mutalaashee!
Yaheen kaheen miree khoee huee bahaar bhee hai
Yahee na ho tiree manzil zaraa Thahar ai dil
Vahee makaan hai diyon kee vahee qataar bhee hai
Yoonhee to ruuh naheen toDtee hisaar-e-badan
Zaroor apnaa koee baadalon ke paar bhee hai
Main pattharon se hee sar ko paTakh ke lauT aayaa
ChaTaan kahtee rahee mujh men shaahkaar bhee hai
Ye kyaa ki rok ke baiThaa huaa huun sail-e-havas
Machaan par bhee huun aur saamne shikaar bhee hai
Chhupaa huaa bhee huun jiine kee aarzoo le ke
Panaah-gaah miree sher kee kachhaar bhee hai
Talluq apni jagah tujh se barqarar bhi hai
Magar ye kya ki tere qurb se farar bhi hai
Kured aur zamin mausamon ke mutalashi!
Yahin kahin meri khoi hui bahaar bhi hai
Yahi na ho teri manzil zara Thahar ai dil
Wahi makan hai diyon ki wahi qatar bhi hai
Yunhi to ruh nahin toDti hisar-e-badan
Zarur apna koi baadalon ke par bhi hai
Main pattharon se hi sar ko paTaKH ke lauT aaya
ChaTan kahti rahi mujh mein shahkar bhi hai
Ye kya ki rok ke baiTha hua hun sail-e-hawas
Machan par bhi hun aur samne shikar bhi hai
Chhupa hua bhi hun jine ki aarzu le ke
Panah-gah meri sher ki kachhaar bhi hai