darvaaza band dekh ke mere makaan kaa
— Adil Mansuri
Darvaaza band dekh ke mere makaan kaa
Jhonkaa havaa kaa khiDkee ke parde hilaa gaya
Wo jaan-e-nau-bahaar jidhar se guzar gaya
PeDon ne phuul patton se rasta chhupaa liyaa
Us ke qareeb jaane kaa anjaam ye huaa
Main apne-aap se bhee bahut duur jaa paDaa
Angdhaai le rahi thee gulistaan men jab bahaar
Har phuul apne rang kee aatish men jal gaya
KaanTe se TooTte hain mire ang ang men
Rag rag men chaand jaltaa huaa zahr bhar gaya
Aankhon ne us ko dekhaa naheen is ke baavajood
Dil us kee yaad se kabhee ghaafil naheen raha
Darvaaza khaTkhaTaa ke sitaare chale ga.e
Khawabon kee shaal oDh ke main oonghtaa raha
Shab chaandnee kee aanch men tap kar nikhar ga.ee
Sooraj kee jaltee aag men din khaak ho gaya
SaDken tamaam dhoop se angaara ho ga.iin
Andhee havaa.en chaltee hain in par barahna-paa
Wo aa.e thoDee der ruke aur chale ga.e
'aadil' main sar jhukaa.e hue chup khaDaa raha