jalne lage khalaa men havaaon ke naqsh e paa
— Adil Mansuri
Jalne lage khalaa men havaaon ke naqsh-e-paa
Sooraj kaa haath shaam kee gardan pe jaa paDaa
Chhat par pighal ke jam ga.ee khawabon kee chaandnee
Kamre kaa dard haanpte saayon ko khaa gaya
Bistar men ek chaand taraashaa thaa lams ne
Us ne uThaa ke chaa.e ke cup men Dubo diyaa
Har aankh men thee TooTte lamhon kee tishnagee
Har jism pe thaa vaqt kaa saaya paDaa huaa
Dekhaa thaa sab ne Doobne vaale ko duur duur
Paanee kee ungliyon ne kinaare ko chhoo liyaa
Aa.egee raat munh pe siyaahi male hue
Rakh degaa din bhee haath men kaaghaz phaTaa huaa