vusat e daaman e sahraa dekhuun

Adil Mansuri

Vus.at-e-daaman-e-sahraa dekhoon Apnee awaaz ko phailaa dekhoon Haath men chaand ko pighlaa dekhoon Khvaab dekhoon ki kharaaba dekhoon Sat.h par aks ko bahtaa dekhoon Dariya Dariya tiraa saaya dekhoon Khud ko dekhoon tiraa chehra dekhoon Aa.eena toD duun phir kya dekhoon Apne saa.e ko barahna paa.oon Saath rusvaa.ee ko hanstaa dekhoon Reteelee dhoop men aate jaate Mahmil-e-vaqt ko Thahraa dekhoon Sub.h ke phuul ko hanstaa paa kar Raat kee aankh men kaanTaa dekhoon Shahr men log jise DhoonDte hain Apne ghar men use baiThaa dekhoon Aisa din aa.e na hargiz 'aadil' Jaise jee men use martaa dekhoon