ab ke tajdiid e wafa kaa nahin imkaan jaanaan

Ahmad Faraz

Ab ke tajdeed-e-wafa kaa naheen imkaan jaanaan Yaad kya tujh ko dilaa.en tiraa paimaan jaanaan Yoonhee mausam kee adaa dekh ke yaad aayaa hai Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaanaan Zindagee teree ataa thee so tire naam kee hai Ham ne jaise bhee basar kee tiraa ehsaan jaanaan Dil ye kahtaa hai ki shaayad hai fasurda too bhee Dil kee kya baat karen dil to hai naadaan jaanaan Avval avval kee mohabbat ke nashe yaad to kar Be-piye bhee tiraa chehra thaa gulistaan jaanaan Aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh naheen Rag-e-meenaa sulag uTThee ki rag-e-jaan jaanaan Muddaton se yahee aalam na tavaqqo na umiid Dil pukaare hee chalaa jaataa hai jaanaan jaanaan Ham bhee kya saada the ham ne bhee samajh rakkhaa thaa Gham-e-dauraan se judaa hai gham-e-jaanaan jaanaan Ab ke Kuch aisee sajee mahfil-e-yaaraan jaanaan Sar-ba-zaanoo hai koee sar-ba-garebaan jaanaan Har koee apnee hee awaaz se kaanp uThtaa hai Har koee apne hee saa.e se hiraasaan jaanaan Jis ko dekho vahee zanjeer-ba-paa lagtaa hai Shahr kaa shahr huaa daakhil-e-zindaan jaanaan Ab tiraa zikr bhee shaayad hee ghazal men aa.e Aur se aur hue dard ke unvaan jaanaan Ham ki rooThee huee rut ko bhee manaa lete the Ham ne dekhaa hee na thaa mausam-e-hijraan jaanaan Hosh aayaa to sabhee khvaab the reza reza Jaise Udhte hue auraaq-e-pareshaan jaanaan