ai ishq e junoon pesha umron ki masaafat se
— Ahmad Faraz
Umron kee masaafat se
Thak-haar ga.e aakhir
Sab ahd aziyyat ke
Bekaar ga.e aakhir
Aghyaar kee baanhon men
Dildaar ga.e aakhir
Ro kar tiree qismat ko
Gham-khvaar ga.e aakhir
Yuun zindagee guzregee
Taa chand wafa-keshaa
Vo vaadee-e-ulfat thee
Yaa koh-e-alam jo tha
Sab madd-e-muqaabil the
Khusrav tha ki jam jo tha
Har raah men Tapkaa hai
Khoonaaba baham jo tha
Raston men luTaayaa hai
Vo besh ki kam jo tha
Nai ranj-e-shikast-e-dil
Nai jaan kaa andesha
.
Kuchh ahl-e-riyaa bhee to
Hamraah hamaare the
Rahrav the ki rahzan the
Jo ruup bhee dhaare the kuch sahl-talab bhee the
Vo bhee hamen pyaare the
Apne the ki begaane
Ham khush the ki saare the
Sau zakhm the nas nas men
Ghaayal the rag-o-resha
Jo jism kaa eendhan tha
Gulnaar kiyaa ham ne
Vo zahr ki amrit tha
Jee bhar ke piyaa ham ne
Sau zakhm ubhar aa.e
Jab dil ko siyaa ham ne
Kyaa kya na mohabbat kee
Kyaa kya na jiyaa ham ne
Lo kuuch kiyaa ghar se
Lo jog liyaa ham ne
Jo kuch tha diyaa ham ne
Aur dil se kahaa ham ne
Ruknaa nahin darveshaa
Yuun hai ki safar apna
Thaa khvaab na afsaana
Aankhon men abhee tak hai
Fardaa kaa paree-khaana
Sad-shukr salaamat hai
Pindaar-e-faqeeraana
Is shahr-e-khamoshee men
Phir naara-e-mastaana
Ai himmat-e-mardaana
Sad-khaaraa-o-yak-tesha
Ai ishq-e-junoon-pesha
Ai ishq-e-junoon-pesha
Umron ki masafat se
Thak-haar gae aaKHir
Sab ahd aziyyat ke
Bekar gae aaKHir
Aghyar ki banhon mein
Dildar gae aaKHir
Ro kar teri qismat ko
Gham-KHwar gae aaKHir
Yun zindagi guzregi
Ta chand wafa-kesha
Wo wadi-e-ulfat thi
Ya koh-e-alam jo tha
Sab madd-e-muqabil the
KHusraw tha ki jam jo tha
Har rah mein Tapka hai
KHunaba baham jo tha
Raston mein luTaya hai
Wo besh ki kam jo tha
Nai ranj-e-shikast-e-dil
Nai jaan ka andesha
Kuchh ahl-e-riya bhi to
Hamrah hamare the
Rahraw the ki rahzan the
Jo rup bhi dhaare the kuch sahl-talab bhi the
Wo bhi hamein pyare the
Apne the ki begane
Hum KHush the ki sare the
Sau zaKHm the nas nas mein
Ghayal the rag-o-resha
Jo jism ka indhan tha
Gulnar kiya hum ne
Wo zahr ki amrit tha
Ji bhar ke piya hum ne
Sau zaKHm ubhar aae
Jab dil ko siya hum ne
Kya kya na mohabbat ki
Kya kya na jiya hum ne
Lo kuch kiya ghar se
Lo jog liya hum ne
Jo kuch tha diya hum ne
Aur dil se kaha hum ne
Rukna nahin darwesha
Yun hai ki safar apna
Tha KHwab na afsana
Aankhon mein abhi tak hai
Farda ka pari-KHana
Sad-shukr salamat hai
Pindar-e-faqirana
Is shahr-e-KHamoshi mein
Phir nara-e-mastana
Ai himmat-e-mardana
Sad-KHara-o-yak-tesha
Ai ishq-e-junun-pesha
Ai ishq-e-junun-pesha