ai mire be dard shahr dil sulag uthtaa hai apne baam o dar ko dekh kar
— Ahmad Faraz
Dil sulag uThtaa hai apne baam-o-dar ko dekh kar
Phailne lagtee hain jab bhee shaam kee parchhaa.iyaan
Is qadar veeraan lamhe is qadar sunsaan raat
Soch men gum hain ufuq se taa-ufuq pahnaa.iyaan
Kis liye raushan karoon deevaar-o-dar koi to ho
Gung deevaaron men kya hon anjuman-aaraa.iyaan
Duur har shab jaag uThte hain ka.ee maah-o-nujoom
Aag bhaDkaatee hain sang-o-khisht kee raa'naa.iyaan
Raaston se khvaab-gaahon tak musalsal mauj-e-rang
Jis tarah qaus-e-quzah kee TooTtee angDaa.iyaan
Zakhm-e-nazzaara liye aankhon men chup taktaa raha
Go miree neenden bhee mujh se le uDiin shahnaa.iyaan
Kal zaraa see der chamke the mire deevaar-o-dar
Jhilmilaa uTThee thiin meree ruuh kee gahraa.iyaan
Chand lamhon ke liye lau de uThaa tha ik charaagh
Aur damak uTThee thiin kuch lamhe miree tanhaa.iyaan
Aaj itnaa shor kyon hai ai mire bedard shahr
Har nazar meree taraf hai is qadar rusvaa.iyaan
Dil sulag uThta hai apne baam-o-dar ko dekh kar
Phailne lagti hain jab bhi sham ki parchhaiyan
Is qadar viran lamhe is qadar sunsan raat
Soch mein gum hain ufuq se ta-ufuq pahnaiyan
Kis liye raushan karun diwar-o-dar koi to ho
Gung diwaron mein kya hon anjuman-araiyan
Dur har shab jag uThte hain kai mah-o-nujum
Aag bhaDkati hain sang-o-KHisht ki ra'naiyan
Raston se KHwab-gahon tak musalsal mauj-e-rang
Jis tarah qaus-e-quzah ki TuTti angDaiyan
ZaKHm-e-nazzara liye aankhon mein chup takta raha
Go meri ninden bhi mujh se le uDin shahnaiyan
Kal zara si der chamke the mere diwar-o-dar
Jhilmila uTThi thin meri ruh ki gahraiyan
Chand lamhon ke liye lau de uTha tha ek charagh
Aur damak uTThi thin kuch lamhe meri tanhaiyan
Aaj itna shor kyon hai ai mere bedard shahr
Har nazar meri taraf hai is qadar ruswaiyan