ai nigaar e gul nigaar e gul tujhe wo din bhi yaad hon shaayad
— Ahmad Faraz
Nigaar-e-gul tujhe wo din bhee yaad hon shaayad
Ki jin ke zikr se ab dil pe taaziyaana lage
Tiree talab men wo daar-o-rasan ke hangaame
Ki jin kee baat karen bhee to ab fasaana lage
Ba-qadr-e-zauq jalaate rahe lahoo ke charaagh
Ki too jab aa.e to ye ghar nigaar-khaana lage
Isee khayaal se har zakhm apne dil pe sahaa
Ki tujh ko gardish-e-ayyaam kee havaa na lage
Magar jo guzree hai ham par tire husool ke baa'd
Vo haal-e-gham bhee kahen gar tujhe buraa na lage
Nigaar-e-gul wo hameen the tire tamannaa.ee
Ki jin ke Khoon se tire rang taabnaak hue
Hameen hain jin se qabaa teree laala-rang huee
Hameen hain wo jo tiree rah-guzar men khaak hue
Khizaan to khair sitam-keshiyon kee rut thee magar
Bahaar men bhee hamaare jigar hee chaak hue
Hameen minaara-e-kisraa ko toDne vaale
Tire hareem men aa kar hameen halaak hue
Nigaar-e-gul ye taqaazaa magar wafa kaa hai
Ki ab bhee ham tire vaa'don kaa aitbaar karen
Guzar ga.ee jo guzarnee thee sakht-jaanon par
Phir aaj teree jafaaon kaa kya shumaar karen
Alam-gazeeda sahee pairahan-dareeda sahee
Magar labon pe gham-e-dil na aashkaar karen
Yahee usuul raha hai wafa-paraston kaa
Har ek haal men tauseef-e-husn-e-yaar karen
Jabeen se dho ke har ik naqsh naa-muraadee kaa
Nigaar-e-gul tire jalvon kaa intizaar karen
Nigar-e-gul tujhe wo din bhi yaad hon shayad
Ki jin ke zikr se ab dil pe taziyana lage
Teri talab mein wo dar-o-rasan ke hangame
Ki jin ki baat karen bhi to ab fasana lage
Ba-qadr-e-zauq jalate rahe lahu ke charagh
Ki tu jab aae to ye ghar nigar-KHana lage
Isi KHayal se har zaKHm apne dil pe saha
Ki tujh ko gardish-e-ayyam ki hawa na lage
Magar jo guzri hai hum par tere husul ke ba'd
Wo haal-e-gham bhi kahen gar tujhe bura na lage
Nigar-e-gul wo hamin the tere tamannai
Ki jin ke KHun se tere rang tabnak hue
Hamin hain jin se qaba teri lala-rang hui
Hamin hain wo jo teri rah-guzar mein KHak hue
KHizan to KHair sitam-keshiyon ki rut thi magar
Bahaar mein bhi hamare jigar hi chaak hue
Hamin minara-e-kisra ko toDne wale
Tere harim mein aa kar hamin halak hue
Nigar-e-gul ye taqaza magar wafa ka hai
Ki ab bhi hum tere wa'don ka e'tibar karen
Guzar gai jo guzarni thi saKHt-jaanon par
Phir aaj teri jafaon ka kya shumar karen
Alam-gazida sahi pairahan-darida sahi
Magar labon pe gham-e-dil na aashkar karen
Yahi usul raha hai wafa-paraston ka
Har ek haal mein tausif-e-husn-e-yar karen
Jabin se dho ke har ek naqsh na-muradi ka
Nigar-e-gul tere jalwon ka intizar karen