diivaar e girya
— Ahmad Faraz
Wo kaisaa shobada-gar tha
Jo masnooee sitaaron
Aur naqlee soorajon kee
Ik jhalak dikhlaa ke
Mere saada dil logon
Kee aankhon ke diye
HonTon ke jugnoo
Le gaya
Aur ab ye aalam hai
Ki mere shahr kaa
Har ik makaan
Ik ghaar kee maanind
Mahroom-e-navaa hai
Aur hanstaa boltaa har shakhs
Ik deevaar-e-girya hai
Wo kaisa shobada-gar tha
Jo masnui sitaron
Aur naqli surajon ki
Ek jhalak dikhla ke
Mere sada dil logon
Ki aankhon ke diye
HonTon ke jugnu
Le gaya
Aur ab ye aalam hai
Ki mere shahr ka
Har ek makan
Ek ghaar ki manind
Mahrum-e-nawa hai
Aur hansta bolta har shaKHs
Ek diwar-e-girya hai