dukh fasaana nahin ki tujh se kahen
— Ahmad Faraz
Dukh fasaana nahin ki tujh se kahen
Dil bhee maanaa nahin ki tujh se kahen
Aaj tak apnee bekalee kaa sabab
Khud bhee jaanaa nahin ki tujh se kahen
Be-tarah haal-e-dil hai aur tujh se
Dostaana nahin ki tujh se kahen
Ek too harf-e-aashnaa thaa magar
Ab zamaana nahin ki tujh se kahen
Qaasidaa ham faqeer logon kaa
Ik Thikaana nahin ki tujh se kahen
Ai khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-dost
Aab-o-daana nahin ki tujh se kahen
Ab to apna bhee us galee men 'faraaz'
Aanaa jaanaa nahin ki tujh se kahen