guftuguu Acchi lagii zauq e nazar achchhaa lagaa
— Ahmad Faraz
Guftugoo achchhee lagee zauq-e-nazar achchhaa lagaa
Muddaton ke baad koee ham-safar achchhaa lagaa
Dil kaa dukh jaanaa to dil kaa mas.ala hai par hamen
Us kaa hans denaa hamaare haal par achchhaa lagaa
Har tarah kee be-sar-o-saamaaniyon ke baavajood
Aaj wo aayaa to mujh ko apna ghar achchhaa lagaa
Baaghbaan gulcheen ko chaahe jo kahe ham ko to phuul
Shaakh se baDh kar kaf-e-dildaar par achchhaa lagaa
Koee maqtal men na pahunchaa kaun zaalim thaa jise
Tegh-e-qaatil se ziyaada apna sar achchhaa lagaa
Ham bhee qaa.il hain wafa men ustuvaaree ke magar
Koee poochhe kaun kis ko umr bhar achchhaa lagaa
Apnee apnee chaahaten hain log ab jo bhee kahen
Ik paree-paikar ko ik aashufta-sar achchhaa lagaa
'meer' ke maanind aksar ziist kartaa thaa 'faraaz'
Thaa to wo deevaana saa shaa.ir magar achchhaa lagaa