gul shuda sham on kaa maatam na karo umr guzri hai sajaate hue baam o dar ko
— Ahmad Faraz
'umr guzree hai sajaate hue baam-o-dar ko
Is tamannaa pe ki wo jaan-e-bahaar aa.egee
Farsh-e-rah deeda-o-dil the ki wo aasooda-khiraam
Dard kee aag ko gulzaar banaa jaa.egee
Is tavaqqo' pe kharaabe rahe aaghosh-kushaa
Khul ke barsegee agar ab ke ghaTaa chhaa.egee
Ek ik lamha qayaamat kee tarah guzraa hai
Aakhir-e-kaar wo mahboob nazar bhee aa.ee
Muntazir aankhen to pathraa hee chukee thiin lekin
Kushtagaan-e-shab-e-furqat kee sahar bhee aa.ee
Jism kyon shal hain dhaDakte hue dil kyon chup hain
Jaras-e-gul kee to awaaz idhar bhee aa.ee
Aaj phir karte ho kis zo'm pe zakhmon kaa shumaar
Sar-phiro vaadee-e-pur-khaar men ye to hogaa
Kyon nigaahon men hai afsurda charaaghon kaa dhuaan
Aarzoo-e-lab-o-rukhsaar men ye to hogaa
Ek se ek kaDee manzil-e-jaan aa.egee
Rahguzaar-e-talab-e-yaar men ye to hogaa
HonT sil jaa.en magar jur.at-e-iz.haar rahe
Dil kee awaaz ko maddham na karo deevaano
Dhal chukee raat to ab kohr bhee chhaT jaa.egee
Ab bhee ummeed kee lau kam na karo deevaano
Aandhiyaan aayaa hee kartee hain har ik habs ke baa'd
Gul-shuda sham'on kaa maatam na karo deevaano
'umr guzri hai sajate hue baam-o-dar ko
Is tamanna pe ki wo jaan-e-bahaar aaegi
Farsh-e-rah dida-o-dil the ki wo aasuda-KHiram
Dard ki aag ko gulzar bana jaegi
Is tawaqqo' pe KHarabe rahe aaghosh-kusha
Khul ke barsegi agar ab ke ghaTa chhaegi
Ek ek lamha qayamat ki tarah guzra hai
AaKHir-e-kar wo mahbub nazar bhi aai
Muntazir aankhen to pathra hi chuki thin lekin
Kushtagan-e-shab-e-furqat ki sahar bhi aai
Jism kyon shal hain dhaDakte hue dil kyon chup hain
Jaras-e-gul ki to aawaz idhar bhi aai
Aaj phir karte ho kis zo'm pe zaKHmon ka shumar
Sar-phiro wadi-e-pur-KHar mein ye to hoga
Kyon nigahon mein hai afsurda charaghon ka dhuan
Aarzu-e-lab-o-ruKHsar mein ye to hoga
Ek se ek kaDi manzil-e-jaan aaegi
Rahguzar-e-talab-e-yar mein ye to hoga
HonT sil jaen magar jurat-e-izhaar rahe
Dil ki aawaz ko maddham na karo diwano
Dhal chuki raat to ab kohr bhi chhaT jaegi
Ab bhi ummid ki lau kam na karo diwano
Aandhiyan aaya hi karti hain har ek habs ke ba'd
Gul-shuda sham'on ka matam na karo diwano