huii hai shaam to aankhon men bas gaya phir tuu
— Ahmad Faraz
Huee hai shaam to aankhon men bas gaya phir too
Kahaan gaya hai mire shahr ke musaafir too
Miree misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahraa hoon
Tiraa khayaal ki shaakh-e-chaman kaa taa.ir too
Main jaantaa hoon ki Dunya tujhe badal degee
Main maantaa hoon ki aisa naheen ba-zaahir too
Hansee-khushee se bichhaD jaa agar bichhaDnaa hai
Ye har maqaam pe kya sochtaa hai aakhir too
Fazaa udaas hai rut muzmahil hai main chup hoon
Jo ho sake to chalaa aa kisee kee khaatir too
'faraaz' too ne use mushkilon men Daal diyaa
Zamaana saahab-e-zar aur sirf shaa.er too