intisaab
— Ahmad Faraz
Hamaaree chaahaton kee buz-dilee thee
Varna kya hota
Agar ye shauq ke mazmoon
Vafaa ke ahd-naame
Aur dilon ke marsiye
Ik doosre ke naam kar dete
Ziyaada se ziyaada
Chaahaten bad-naam ho jaateen
Hamaaree dostee kee daastaanen aam ho jaateen
To kya hota
Ye ham jo ziist ke har ishq men sachchaa.iyaan sochen
Ye ham jin kaa asaasa tishnagi,i tanhaa.iyaan sochen
Ye tahreeren
Hamaaree aarzoo-mandee kee tahreeren
Baham paiavastagee aur khvaab paivandagee kee tahreeren
Firaaq o vasl o mahroomee o khursandee kee tahreeren
Ham in par munfa.il kyuun huun
Ye tahreeren
Agar ik doosre ke naam ho jaa.en
To kya is se hamaare fan ke rasiyaa
Sher ke maddaah
Ham par tohmaten dharte
Hamaaree hamdamee par tanz karte
Aur ye baaten
Aur ye afvaahen
Kisee piilee nigaarish men
Hamesha ke liye marqoom hoo jaateen
Hamaaree hastiyaan mazmoom ho jaateen
Naheen aisa na hota
Aur agar bil-farz hota bhee
To phir ham kya
Subuk-saaraan-e-shahr-e-harf kee chaalon se Darte hain
Sagaan-e-koocha-e-shohrat ke ghaughaa
Kaale baazaaron ke dallaalon se Darte hain
Hamaare harf jazbon kee tarah
Sachche hain, paakeeza hain, zinda hain
Balaa se ham agar masloob ho jaate
Ye sauda kya buraa tha
Gar hamaaree qabr ke katbe
Tumhaare aur hamaare naam se mansoob ho jaate!
Hamari chahaton ki buz-dili thi
Warna kya hota
Agar ye shauq ke mazmun
Wafa ke ahd-name
Aur dilon ke marsiye
Ek dusre ke nam kar dete
Ziyaada se ziyaada
Chahaten bad-nam ho jatin
Hamari dosti ki dastanen aam ho jatin
To kya hota
Ye hum jo zist ke har ishq mein sachchaiyan sochen
Ye hum jin ka asasa tishnagi,i tanhaiyan sochen
Ye tahriren
Hamari aarzu-mandi ki tahriren
Baham paiawastagi aur KHwab paiwandagi ki tahriren
Firaq o wasl o mahrumi o KHursandi ki tahriren
Hum in par munfail kyun hun
Ye tahriren
Agar ek dusre ke nam ho jaen
To kya is se hamare fan ke rasiya
Sher ke maddah
Hum par tohmaten dharte
Hamari hamdami par tanz karte
Aur ye baaten
Aur ye afwahen
Kisi pili nigarish mein
Hamesha ke liye marqum hu jatin
Hamari hastiyan mazmum ho jatin
Nahin aisa na hota
Aur agar bil-farz hota bhi
To phir hum kya
Subuk-saran-e-shahr-e-harf ki chaalon se Darte hain
Sagan-e-kucha-e-shohrat ke ghaugha
Kale bazaron ke dallalon se Darte hain
Hamare harf jazbon ki tarah
Sachche hain, pakiza hain, zinda hain
Bala se hum agar maslub ho jate
Ye sauda kya bura tha
Gar hamari qabr ke katbe
Tumhaare aur hamare nam se mansub ho jate!