is se pahle ki be wafa ho jaaen
— Ahmad Faraz
Is se pahle ki be-wafa ho jaa.en
Kyuun na ai dost ham judaa ho jaa.en
Too bhee hiire se ban gaya patthar
Ham bhee kal jaane kya se kya ho jaa.en
Too ki yaktaa tha be-shumaar huaa
Ham bhee TooTen to jaa-ba-jaa ho jaa.en
Ham bhee majbooriyon kaa uzr karen
Phir kaheen aur mubtalaa ho jaa.en
Ham agar manzilen na ban paa.e
Manzilon tak kaa raastaa ho jaa.en
Der se soch men hain parvaane
Raakh ho jaa.en yaa havaa ho jaa.en
Ishq bhee khel hai naseebon kaa
Khaak ho jaa.en keemiyaa ho jaa.en
Ab ke gar too mile to ham tujh se
Aise lipTen tiree qabaa ho jaa.en
Bandagee ham ne chhoD dee hai 'faraaz'
Kya karen log jab khuda ho jaa.en