jis samt bhi dekhuun nazar aataa hai ki tum ho
— Ahmad Faraz
Jis samt bhee dekhoon nazar aataa hai ki tum ho
Ai jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai ki tum ho
Ye khvaab hai khushboo hai ki jhonkaa hai ki pal hai
Ye dhund hai baadal hai ki saayaa hai ki tum ho
Is diid kee saa.at men ka.ee rang hain larzaan
Main hoon ki koi aur hai Dunya hai ki tum ho
Dekho ye kisee aur kee aankhen hain ki meree
Dekhoon ye kisee aur kaa chehra hai ki tum ho
Ye umr-e-gurezaan kaheen Thahre to ye jaanoon
Har saans men mujh ko yahee lagtaa hai ki tum ho
Har bazm men mauzoo-e-sukhan dil-zadagaan kaa
Ab kaun hai sheereen hai ki lailaa hai ki tum ho
Ik dard kaa phailaa huaa sahraa hai ki main hoon
Ik mauj men aayaa huaa Dariya hai ki tum ho
Wo vaqt na aa.e ki dil-e-zaar bhee soche
Is shahr men tanhaa koi ham saa hai ki tum ho
Aabaad ham aashufta-saron se nahin maqtal
Ye rasm abhee shahr men zinda hai ki tum ho
Ai jaan-e-'faraaz' itnee bhee taufeeq kise thee
Ham ko gham-e-hastee bhee gavaaraa hai ki tum ho