kaalii diivaar

Ahmad Faraz

Kal washington shahr kee ham ne sair bahut kee yaar Guunj rahi thee sab dunya men jis kee jai-jai-kaar Mulkon mulkon ham ghoome the banjaaron kee misl Lekin is kee saj-dhaj sach-much dil-daaron kee misl Raushniyon ke rang bahen yuun rasta nazar na aa.e Man kee aankhon vaalaa bhee yaan andhaa ho ho jaa.e Oonche baam charaaghaan raste roop-bhare baazaar Jaagtee aankhon se dekhaa hai khawabon kaa sansaar Ek safed imaarat jis kee nagar nagar men dhuum Andar dunya bhar kee kaalak baahar se ma.asoom Yahee safed imaarat jis men bahut baDee sarkaar Yaheen karen saudaagar chhoTee qaumon kaa bevpaar Yaheen pe jaadoo-gar baiThaa jab kaheen kee Dor hilaa.e Har bastee nagasaki hiroshima ban jaa.e Isee imaarat se kuch duur hee ik kaalee deevaar Logon kaa mela aisa lagaa tha jaise koi tyauhaar Is kaalee deevaar pe kanda dekhe hazaaron naam Un naamon ke biich likhaa tha shohdaa-e-vietnam Aas-paas to jam.a huaa tha khilqat kaa amboh Sab kee aankhon men sannaaTaa chehron par andoh Bekal bahnen ghaayal maa.en aur dukhee bevaayen Saajan tum kis des sidhaare sochen mahboobaa.en Apne pyaaron dil-daaron kaa ojhal mukhDaa DhoonDen Is kaalee deevaar pe un ke naam kaa TukDaa DhoonDen Dilon men dukh aankhon men shabnam haathon men phuul uThaa.e Is naamon ke qabristaan kaa bhed koi kya paa.e Naa turbat naa katba koi naa haDDee naa maas Phir bhee paagal nainaan ko thee piyaa milan kee aas Kaheen kaheen is kaalee sil par koi safed gulaab Yuun be-taab paDaa tha jaise andhee aankh kaa khvaab KaanTaa ban kar sabhee ke dil men khaTke ek savaal Kis kaaran miTTee men milaa.e heeron jaise laal Ho-chi-minh ke des men ham ne kya kya sitam na Dhaa.e Us ke jiyaale to aazaadee kaa suraj le aa.e Lekin itne chaand ganvaa kar ham ne bhalaa kya paayaa Ham bad-qismat aise jin ko dhoop milee naa saayaa Mukh motee de kar haasil kee ye kaalee deevaar Ye kaalee deevaar jo hai bas ik khaalee deevaar Ye kaalee deevaar jo hai naamon kaa qabristaan Washington ke shahr men dafn hain kis kis ke armaan Kal washington shahr ki hum ne sair bahut ki yar Gunj rahi thi sab duniya mein jis ki jai-jai-kar Mulkon mulkon hum ghume the banjaron ki misl Lekin is ki saj-dhaj sach-much dil-daron ki misl Raushniyon ke rang bahen yun rasta nazar na aae Man ki aankhon wala bhi yan andha ho ho jae Unche baam charaghan raste rup-bhare bazar Jagti aankhon se dekha hai KHwabon ka sansar Ek safed imarat jis ki nagar nagar mein dhum Andar duniya bhar ki kalak bahar se masum Yahi safed imarat jis mein bahut baDi sarkar Yahin karen saudagar chhoTi qaumon ka bewpar Yahin pe jadu-gar baiTha jab kahin ki Dor hilae Har basti nagasaki hiroshima ban jae Isi imarat se kuch dur hi ek kali diwar Logon ka mela aisa laga tha jaise koi tyauhaar Is kali diwar pe kanda dekhe hazaron nam Un namon ke bich likha tha shohda-e-wietnam Aas-pas to jama hua tha KHilqat ka amboh Sab ki aankhon mein sannaTa chehron par andoh Bekal bahnen ghayal maen aur dukhi bewayen Sajan tum kis des sidhaare sochen mahbubaen Apne pyaron dil-daron ka ojhal mukhDa DhunDen Is kali diwar pe un ke nam ka TukDa DhunDen Dilon mein dukh aankhon mein shabnam hathon mein phul uThae Is namon ke qabristan ka bhed koi kya pae Na turbat na katba koi na haDDi na mas Phir bhi pagal nainan ko thi piya milan ki aas Kahin kahin is kali sil par koi safed gulab Yun be-tab paDa tha jaise andhi aankh ka KHwab KanTa ban kar sabhi ke dil mein khaTke ek sawal Kis karan miTTi mein milae hiron jaise lal Ho-chi-minh ke des mein hum ne kya kya sitam na Dhae Us ke jiyale to aazadi ka suraj le aae Lekin itne chand ganwa kar hum ne bhala kya paya Hum bad-qismat aise jin ko dhup mili na saya Mukh moti de kar hasil ki ye kali diwar Ye kali diwar jo hai bas ek KHali diwar Ye kali diwar jo hai namon ka qabristan Washington ke shahr mein dafn hain kis kis ke arman