kaniiz
— Ahmad Faraz
Huzoor aap aur nisf shab mire makaan par
Huzoor kee tamaam-tar balaa.en meree jaan par
Huzoor khairiyat to hai huzoor kyuun khamosh hain
Huzoor boliye ki vasvase vabaal-e-hosh hain
Huzoor honT is tarah se kapkapaa rahe hain kyuun
Huzoor aap har qadam pe laD-khDaa rahe hain kyuun
Huzoor aap kee nazar men niind kaa khumaar hai
Huzoor shaayad aaj dushmanon ko kuch bukhaar hai
Huzoor muskuraa rahe hain meree baat baat par
Huzoor ko na jaane kya gumaan hai meree zaat par
Huzoor munh se ba rahi hai piik saaf keejiye
Huzoor aap to nashe men hain muaaf keejiye
Huzoor kya kahaa main aap ko bahut aziiz hoon
Huzoor kaa karam hai varna main bhee koi chiiz hoon
Huzoor chhoDiye hamen hazaar aur rog hain
Huzoor jaa.iye ki ham bahut ghareeb log hain
Huzur aap aur nisf shab mere makan par
Huzur ki tamam-tar balaen meri jaan par
Huzur KHairiyat to hai huzur kyun KHamosh hain
Huzur boliye ki waswase wabaal-e-hosh hain
Huzur honT is tarah se kapkapa rahe hain kyun
Huzur aap har qadam pe laD-khDa rahe hain kyun
Huzur aap ki nazar mein nind ka KHumar hai
Huzur shayad aaj dushmanon ko kuch buKHar hai
Huzur muskura rahe hain meri baat baat par
Huzur ko na jaane kya guman hai meri zat par
Huzur munh se ba rahi hai pik saf kijiye
Huzur aap to nashe mein hain muaf kijiye
Huzur kya kaha main aap ko bahut aziz hun
Huzur ka karam hai warna main bhi koi chiz hun
Huzur chhoDiye hamein hazar aur rog hain
Huzur jaiye ki hum bahut gharib log hain