karoon na yaad magar kis tarah bhulaauun use

Ahmad Faraz

Karoon na yaad magar kis tarah bhulaa.oon use Ghazal bahaana karoon aur gungunaa.oon use Wo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab kee maanind Main zakhm zakhm huun phir bhee gale lagaa.oon use Ye log tazkire karte hain apne logon ke Main kaise baat karoon ab kahaan se laa.oon use Magar wo zood-faraamosh zood-ranj bhee hai Ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaa.oon use Vahee jo daulat-e-dil hai vahee jo raahat-e-jaan Tumhaaree baat pe ai naaseho ganvaa.oon use Jo ham-safar sar-e-manzil bichhaD raha hai 'faraaz' Ajab naheen hai agar yaad bhee na aa.uun use