khaamosh ho kyuun daad e jafaa kyuun nahin dete
— Ahmad Faraz
Khaamosh ho kyuun daad-e-jafaa kyuun naheen dete
Bismil ho to qaatil ko duaa kyuun naheen dete
Vahshat kaa sabab rauzan-e-zindaan to naheen hai
Mehr o mah o anjum ko bujhaa kyuun naheen dete
Ik ye bhee to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai
Ai chaaragaro dard baDhaa kyuun naheen dete
Munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
Mujrim hain agar ham to sazaa kyuun naheen dete
Rahzan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaan bhee
Rahbar ho to manzil kaa pata kyuun naheen dete
Kya biit ga.ee ab ke 'faraaz' ahl-e-chaman par
Yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyuun naheen dete