main to maqtal men bhi qismat kaa sikandar niklaa
— Ahmad Faraz
Main to maqtal men bhee qismat kaa sikandar niklaa
Qur.a-e-faal mire naam kaa aksar niklaa
Thaa jinhen zo.am wo Dariya bhee mujhee men Duube
Main ki sahraa nazar aataa thaa samundar niklaa
Main ne us jaan-e-bahaaraan ko bahut yaad kiyaa
Jab koee phuul miree shaakh-e-hunar par niklaa
Shahr-vaalon kee mohabbat kaa main qaa.el hoon magar
Main ne jis haath ko choomaa vahee khanjar niklaa
Too yaheen haar gaya hai mire buzdil dushman
Mujh se tanhaa ke muqaabil tiraa lashkar niklaa
Main ki sahraa-e-mohabbat kaa musaafir thaa 'faraaz'
Ek jhonkaa thaa ki khushboo ke safar par niklaa