muntazir kab se tahayyur hai tirii taqriir kaa
— Ahmad Faraz
Muntazir kab se tahayyur hai tiree taqreer kaa
Baat kar tujh par gumaan hone lagaa tasveer kaa
Raat kya so.e ki baaqee umr kee niind uD ga.ee
Khvaab kya dekhaa ki dhaDkaa lag gaya taabeer kaa
Kaise paayaa thaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
Mujh saa munkir bhee to qaa.el ho gaya taqdeer kaa
Jis tarah baadal kaa saaya pyaas bhaDkaataa rahe
Main ne ye aalam bhee dekhaa hai tiree tasveer kaa
Jaane kis aalam men too bichhDaa ki hai tere baghair
Aaj tak har naqsh fariyaadee miree tahreer kaa
Ishq men sar phoDnaa bhee kya ki ye be-mehr log
Joo-e-khoon ko naam de dete hain joo-e-sheer kaa
Jis ko bhee chaahaa use shiddat se chaahaa hai 'faraaz'
Silsila TuuTaa naheen hai dard kee zanjeer kaa